MyMandirInstall
Profile

Rama Devi Sahu

6 days ago

🌸 Mujhe Charno Se Laga Le 🌸 Mere Shyam Murli Wale 🙏🦚 Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale, Meri saans-saans mein tera, Hai naam, Murli Wale. Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale. 🙏 🌺 Bhakton ki tumne, Kanha, Har vipda hai taari, Meri bhi baanh tham lo, Aake mere Bihari. Bigde banaye tumne, Har kaam, Murli Wale, Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale. 🌸 Patjhad sa hai yeh jeevan, Ban ke bahaar aaja, Sun le pukaar Kanha, Bas ek baar aaja. Bechain mann ko mere, Tu hi de aaraam, Murli Wale, Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale. 🪷 Tum ho daya ke saagar, Janmon se main hoon pyaasi, De do jagah mujhe bhi, Charanon mein apne zara si. Subah bhi tum hi ho, Tum hi meri shaam, Murli Wale, Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale. 🙏 Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale, Meri saans-saans mein tera, Hai naam, Murli Wale. Meri saans-saans mein tera, Hai naam, Murli Wale. Mujhe charnon se laga le, Mere Shyam Murli Wale. 🦚🙏

Comments (0)

No comments yet. Be the first to comment!